IBRMC ne kya Diya hai, yahi sawaal hai na bhailog....
Bachpan me addabaazi maarne me maza aata tha... College gaye to kuch aur baklol dost mile, aur maza aane laga.... Waqt yuhi guzar jata tha... Sab acha chal raha tha khushi khushi.....
Fir ek din job ka darshan hua.... Achanak se har jagah manhus log dikhne lage, koi khul k hase na, khul k bakchodi na karein.... mano Aisa laga ki acha samay chala gaya.... Kaam kaam and no aaram wali zindagi dekhne ko mila.... Tab the ek aada baklol par sab apne zindagi k jhol mein phase hue... Kabhi addabaazi hoti kabhi nahi hoti... Guzar gaye aise kuch saal....
Fir apna din aagaya and Google mein meine IBRMC ko paya .... Join Kiye rides and meine samjha bhailog... Yaha to baklol ki fauj hai and woh bhi 24x7 ....
Bus fir kya, saare wadiyan ghoome just like a free bird, fir se woh bachpan k din wapis aaya.... Ab to baklol zindagi ki kahani chalu hai bheedu with a title "bachpan se pachpan tak"
IBRMC has given a life where we can feel and be ourselves, no one is gonna judge us on the same.
Hail IBR !!!